jala ke ankhen siyah shab ko khangalna hai
isi andhere se ham ko suraj nikalna hai
jo baaqi chizen hain vo to main sab sambhal lunga
tumhen ye karna hai sirf mujh ko sambhalna hai
shikast jis ka nasib hogi kuchh us ka socho
tumhara kya hai tumhen to sikka uchhalna hai
vo sang-dil hai magar use mom kar raha huun
inhin chaTanon se mujh ko dariya nikalna hai
vahi gali jis ki ham kabhi ḳhaak chhante the
sitam to ye hai usi pe ab ḳhaak Dalna hai
Leave a Reply