ham apni haqiqat kis se kahen hain pyase ki sairab hain ham
ham sahra hain aur jal-thal hain hain dariya aur payab hain ham
ab gham koi na sarshari bas chalne ki hai tayyari
ab dhuup hai phaili angan men aur kachchi niind ke ḳhvab hain ham
haan sham-e-tamanna bujh bhi ga.i ab dil tiira tarik bahut
ab hiddat-e-gham na josh-e-junun ai dasht-e-talab barfab hain ham
ye tanha.i ye ḳhamoshi taara bhi nahin is shaam koi
kuchh daagh sameTe siine men tanha tanha mahtab hain ham
ham jis men Duub ke ubhre hain vo dariya kaisa dariya tha
ye kaisa ufuq hai jis ki athah gahra.i men gharqab hain ham
ham misl-e-sharar hain jugnu hain ham tira-shab ke aansu hain
ham najm-e-sahar ham rashk-e-qamar haan har surat shab-tab hain ham
ik huzn-o-malal ka sail-e-bala sab ḳhvab baha kar le bhi gaya
phir phuul khile man-angan men phir dekh hamen shadab hain ham
lakhon ham jaise milte hain nayab nahin hain ham ‘ahmad’
haan un ke liye jo dil se mile vo jante hain kamyab hain ham
Leave a Reply