jala diya shajar-e-jan ki sabz-bakht na tha
kisi bhi rut men hara ho ye vo darakht na tha
vo khvab dekha tha shahzadiyon ne pichhle pahar
phir us ke baad muqaddar men taaj o takht na tha
zara se jabr se main bhi to tuut sakti thi
miri tarah se tabiat ka vo bhi sakht na tha
mire liye to vo khanjar bhi phuul ban ke utha
zaban sakht thi lahja kabhi karakht na tha
andheri raton ke tanha musafiron ke liye
diya jalata hua koi saz-o-rakht na tha
gae vo din ki mujhi tak tha mera dukh mahdud
khabar ke jaisa ye afsana lakht-lakht na tha
Leave a Reply