• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaise Kisi Tufan Ka KHadsha Bhi Nahin Tha

Jaise Kisi Tufan Ka KHadsha Bhi Nahin Tha

jaise kisi tufan ka ḳhadsha bhi nahin tha

kya log the andesha-e-farda bhi nahin tha

vo kaise musafir the ki be-zad-e-safar the

siine pe koi bar-e-tamanna bhi nahin tha

kyuun log mazaron pe dua maang rahe the

mujh par kisi aaseb ka saaya bhi nahin tha

kis bagh-e-tilismat men gum ho ga.iin ankhen

main ne tiri janib abhi dekha bhi nahin tha

kyuun taaza hava ka koi jhonka nahin aaya

ehsas ke dar par koi parda bhi nahin tha

nashsha dar-e-gandum ka hiran hone se pahle

jannat se nikalna hai ye socha bhi nahin tha

girti hui divar ko sab dekh rahe the

is shahr men kuchh aur tamasha bhi nahin tha

na-karda-gunahi ki saza de mujhe ya-rab

jo kaam kiya main ne vo achchha bhi nahin tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Bad Amal Karte Ho Aur Nek Jaza Chahte Ho

poet

Chaha Jinko Bhi Zindagi Ki Tarah

Wo Chup-Chap Aansu Bahane Ki Raaten

Rabt Mein Pahlu-E-Nairang Kahan Se Aaya

Tut Kar der Talak Pyar Kiya Hai Mujhko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet