jaisa manzar mile gavara kar
tabsire chhoḌ de nazara kar
ab to jiine ki aarzu bhi nahin
charagar ab to koi chara kar
vasl kis ko nasib hota hai
‘dagh’ ke sher par guzara kar
apne allah se ho jab shikva
sab ke allah ko pukara kar
ham to bande hain jumbish-e-lab ke
yuun na ḳhamosh rah ke maara kar
Leave a Reply