gandum ki vo boriyan
jo hamare hisse men aaen
un men kahaniyan nahin
mare hue kirdar bhare hue the
ham bahut muddat tak talashte rahe
apna jalaya gaya badan
magar koi naqsh mumasil nahin tha
hamare khal-o-khad se
ya shayad hamara naqsha pighal chuka tha
jo badan khud-ba-khud nahin jalte
balki jhonk diye jaate hain
aag ki bal khaai hui rassiyon men
unhen tumhari ilhami kitab
shahid likhti hai ya mahluk
ho sakta hai hamen kai sau saal pahle tak
zinda rakkha gaya ho reza reza tah men
magar ab to hamen machis ki tiliyon ki tarah
band rakha gaya hai
makanon ki dibiyon men
jahan apne hi laave men kholti rahti hai
hamare zehnon ki haya-bakhta baghavat
magar ham shahid ki darjati sidhiyon se
gir ke apahij ho chuke hain
is liye hamen salakhon ke sunahri jaal men
par phadphadane do
kahin aisa na ho
tum hamen sokhta divaro ki matruk kahaniyan sunao
aur ham machis ki tiliyon ki tarah
bhadak uthen aur phir……..
jal ke raakh ho jaaen
jali hui tiliyon ki jagah kahan hoti hai?
ye jalane vaale se behtar
kaun jaan sakta hai?
Leave a Reply