Chandni Shab Hai Sitaron Ki Ridaen Si Lo

chāñdnī shab hai sitāroñ kī ridā.eñ sī lo

iid aa.ī hai bahāroñ kī ridā.eñ sī lo

chashm-e-sāqī se kaho tishna umīdoñ ke liye

tum bhī kuchh bāda-gusāroñ kī ridā.eñ sī lo

har baras sozan-e-taqdīr chalā kartī hai

ab to kuchh sīna-fagāroñ kī ridā.eñ sī lo

log kahte haiñ taqaddus ke subū TūTeñge

jhūmtī rāh-guzāroñ kī ridā.eñ sī lo

qulzum-e-ḳhuld se ‘sāġhar’ kī sadā aatī hai

apne be-tāb kināroñ kī ridā.eñ sī lo

Leave a Comment