
Abbas Qamar
jahan saare hava banne ki koshish kar rahe the
vahan bhi ham diya banne ki koshish kar rahe the
hamen zor-e-tasavvur bhi ganvana pad gaya ham
tasavvur men khuda banne ki koshish kar rahe the
zamin par aa gire jab asman se khvab mere
zamin ne puchha kya banne ki koshish kar rahe the
unhen ankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai
ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the
hamen dushvariyon men muskurane ki talab thi
ham ik tasvir sa banne ki koshish kar rahe the

Leave a Reply