jahan dekho vahan maujud mera kirshn pyara hai
usi ka sab hai jalva jo jahan men ashkara hai
bhala makhluq khaliq ki sifat samjhe kahan qudrat
usi se neti neti ai yaar didon ne pukara hai
na kuchh chara chala lachar charon haar kar baithe
bichare bed ne pyare bahut tum ko bechara hai
jo kuchh kahte hain ham yahi bhi tira jalva hai ik varna
kise taqat jo munh khole yahan har shakhs haara hai
tira dam bharte hain hindu agar naqus bajta hai
tujhe bhi shaikh ne pyare azaan de kar pukara hai
jo but patthar hain to kaabe men kya juz-khak-o-patthar hain
bahut bhula hai vo is farq men sar jis ne maara hai
na hote jalva-gar tum to ye girja kab ka gir jaata
nasara ko bhi to akhir tumhara hi sahara hai
tumhara nuur hai har shai men kah so koi tak pyare
usi se kah ke har har tum ko hindu ne pukara hai
gunah bakhsho rasai do ‘rasa’ ko apne qadmon tak
bura hai ya bhala hai jaisa hai pyare tumhara hai
Leave a Reply