• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jagta Rahta Hun Aur khiDki Khuli Rahti Hai

Jagta Rahta Hun Aur khiDki Khuli Rahti Hai

jagta rahta huun aur khiḌki khuli rahti hai

kya ḳhushi hai ki musibat hi paḌi rahti hai

itni divaren gira kar bhi yahi dekha hai

ek divar miri rah men khaḌi rahti hai

baagh men bikhre hue rang bahut zalim hain

ba.az goshon men to virani paḌi rahti hai

hijr men vasl ke phal-phul khile rahte hain

shaḳh bichhḌe hue mausam se bhari rahti hai

ek virana hai jo shahr ko kha jaata hai

ek basti hai jo jangal men basi rahti hai

ab vo ḳhush-chehra si ḳhatun kahan par hogi

fikr si koi mire ji ko lagi rahti hai

had se baḌhti hui vahshat bhi ajab shai hai ‘vafa’

mere chehre pe kisi gham ki hansi rahti hai

mausam-e-girya guzar jaata hai maqsud-‘vafa’

meri divar pe barish ki nami rahti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afzal-minhas

Apne Mahaul Se Kuchh Yun Bhi To Ghabrae Na The

Hinai Jalti Poren Sabr Ka Phal Dil Ka Darwaza

Ye Aasman Zamin Ke honT Chumta Hua Na Ho

poet

Bana Ke Aaina-E-Tasawwur Jahan Dil-E-Dagh-Dar Dekha

Dhuan Bana Ke Faza Mein uDa Diya Mujhko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet