jagah phulon ki rakhte hain ghana saaya banate hain
chalo apne ḳhayali shahr ka naqsha banate hain
abhi to chaak par hain kya kahen ham apne baare men
na jaane dast-e-kuza-gar hamen kaisa banate hain
banani hai hamen tasvir-e-dil kaghaz pe lekin ham
kabhi dariya banate hain kabhi sahra banate hain
ghazal us ke liye kahte hain lekin dar-haqiqat ham
ghane jangal men kirnon ke liye rasta banate hain
kabhi bhule se bhi us ki taraf mat dekhna ‘az.har’
zara si baat ka ye log afsana banate hain
Leave a Reply