jadav chudiyon ke hathon men phaban kya khuub
bhare bhare tire baazu pe nau-ratan kya khuub
khajuri choti ke qurban vaah kya kahna
nisar pariyon ke mu-ba-mu shikan kya khuub
nai javani ka josh aur ubhar siine ka
do-shala dhalka hua sar se bankpan kya khuub
ajab bahar hai belon ki aur buton ki
pari dupatta tira ghairat-e-chaman kya khuub
izar-band ke lachchhe ka vaah re aalam
gudaz ranon pe pajame ki shikan kya khuub
jo pahna achchha bura tu ne utra ban ban kar
har ek chiiz men jaani sajila-pan kya khuub
gulab se tire gaal aur ankhen nargis se
ba-rang-e-ghuncha-lala lab-o-dahan kya khuub
nazar phisalte hi vallah meri ankhon men khaak
ki saaf saaf hai aine sa badan kya khuub
khuda ne nuur ke sanche men tujh ko dhala hai
jo dekhta hai vo kahta hai ye sukhan kya khuub
bayan husn kare tera ‘bahr’ kis munh se
tira banav tire chhab tiri phaban kya khuub
Leave a Reply