jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin
ye dekh meri mohabbat men kuchh kami to nahin
hazar gham sahi dil men magar ḳhushi ye hai
hamare honTon pe mangi hui hansi to nahin
miTe ye shub.h to a dost tujh se baat karen
hamari pahli mulaqat aḳhiri to nahin
hui jo jashn-e-baharan ke naam se mansub
ye ashiyanon ke jalne ki raushni to nahin
hayat hi ke liye be-qarar hai duniya
tire firaq ka maqsad hayat hi to nahin
gham-e-habib kahan aur kahan gham-e-janan
musahibat hai yaqinan barabari to nahin
ye hijr-e-yar ye pabandiyan ibadat ki
kisi ḳhata ki saza hai ye zindagi to nahin
tumhari bazm men afsana kahte Darta huun
ye sochta huun yahan koi ajnabi to nahin
Leave a Reply