duur tā-hadd-e-nazar āb-e-shajar kuchh bhī nahīñ
jaane kyā kyā thā nigāhoñ meñ magar kuchh bhī nahīñ
jis kī takmīl meñ ik umr huī apnī tamām
vaqt aayā to vo sāmān-e-safar kuchh bhī nahīñ
duur tak phail ga.ī zaḳhm chaTakne kī sadā
vo bahut paas thā aur us ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
har nafas karb ke jañgal meñ bhaTakne ke sivā
āgahī kuchh bhī nahīñ fikr-o-nazar kuchh bhī nahīñ
ab vo ik pal kī masarrat ho ki sadiyoñ kā alam
koī sūrat ho in ashkoñ se mafar kuchh bhī nahīñ
raat phir jal ke pighal ke to sahar tak pahuñcheñ
phir ye dekheñ sar-e-dāmān-e-sahar kuchh bhī nahīñ