Jab Uske Wasl Ki KHwahish Jawan Ho Rahi Thi

jab us ke vasl kī ḳhvāhish javān ho rahī thī

vo shāhzādī yaqīñ se gumān ho rahī thī

vo mere pyaar se munkir huī thī us pal jab

qasam uThā rahā thā maiñ azaan ho rahī thī

maiñ us se ishq pe ghanToñ se bahs kar rahā thā

na mere ashk ruke na thakān ho rahī thī

judā huī thī vo jab dil pe vaar karne ko

falak pe qaus-e-quzah bhī kamān ho rahī thī

vo laḌkī kitnī haqīqat-pasand thī ‘ammār’

hañsī-ḳhushī se jo ḳhud dāstān ho rahī thī

Leave a Comment