• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Tak Nigar-E-dasht Ka Sina dukha Na Tha

Jab Tak Nigar-E-dasht Ka Sina dukha Na Tha

bashir-badr

jab tak nigar-e-dasht ka siina dukha na tha

sahra men koi lala-e-sahra khila na tha

do jhilen us ki ankhon men lahra ke so gaiin

us vaqt meri umr ka dariya chadha na tha

jaagi na thiin nason men tamanna ki naginen

us gandumi sharab ko jab tak chakha na tha

dhunda karo jahan-e-tahayyur men umr bhar

vo chalti phirti chhanv hai main ne kaha na tha

ik bevafa ke samne aansu bahate ham

itna hamari aankh ka paani mara na tha

vo kaale hont jaam samajh kar chadha gae

vo aab jis se main ne vuzu tak kiya na tha

sab log apne apne khudaon ko laae the

ek ham aise the ki hamara khuda na tha

vo kaali ankhen shahr men mashhur thiin bahut

tab un pe mote shishon ka chashma chadha na tha

main sahib-e-ghazal tha hasinon ki bazm men

sar par ghanere baal the matha khula na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Duniya Pe Mere Fan Ka Asar Baad Mein Hua

Arz-O-Sama Pe Rang Tha Kaisa Utar Gaya

akbar-hameedi

dil Ki Girhen Kahan Wo Kholta Hai

Paimana-E-Haal Ho Gae Hum

Ek Mauhum Si KHushi Ki Tarah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet