jab se dekha hai bana gosh-e-qamar men tinka
phans ki tarah khatakta hai jigar men tinka
neza-bazi pe hamen apni na dhamka ai turk
ham samajhte hain ise apni nazar men tinka
atish nala-e-bulbul ye chaman men bhadki
na bacha naam ko sayyad ke ghar men tinka
khar-e-mizhgan ko nazar bhar ke na dekha main ne
pad gaya ud ke mire dida-e-tar men tinka
sun ke aamad tiri aankhon se utha lete hain
dekhte hain jo pada rahguzar men tinka
gird us bahr-e-safa ke main phira karta huun
rahta hai gardi men jis tarah bhanvar men tinka
ah-e-sozan ne jalae tire jangal ‘sayyah’
naam ko bhi na raha ek shajar men tinka
Leave a Reply