jab karen mujh tire ka khyal ankhiyan
ashk siin tar karen rumal ankhiyan
chhod khuban ka dekhna ai dil
laag javengi aj-kal ankhiyan
aaj tujh par nisar karne kuun
ashk moti hue hain thaal ankhiyan
dil phadakta hai bijli ki juun
hui hain aaj barshkal ankhiyan
jab chalave sanam nigah ki tegh
‘yakru’ tab tuun kar apni dhaal ankhiyan
Leave a Reply