jab kaho kyuun ho khafa kya baais
kahte hain puchhne ka kya baais
bholi surat ki hai khubi varna
ho adu dost-numa kya baais
main ne ki aah to bole nagah
ho gae garm hua kya baais
aata hai dekh ke anjum ko khayal
hai falak abla-pa kiya baais
vaada karne ki zarurat kya thi
phir na aane ka bhala kya baais
gar na thi hijr men ummid-e-visal
jiite rahne ka hua kya baais
dam nikalta hai mira ruk ruk kar
kunad hai tegh-e-qaza kya baais
chashma-e-khizr men mai hi be-shak
aab ho umr-faza kya baais
tum karo tark-e-jafa kya imkan
ham karen tark-e-vafa kiya baais
naala karta nahin ‘nazim’ tasir
tiir hota hai khata kya baais
Leave a Reply