jab hamen izn tamasha hoga
tu kahan anjuman-ara hoga
ham na pahunche sar-e-manzil to kya
ham-safar koi to pahuncha hoga
uḌti hogi kahin ḳhushbu-e-ḳhayal
gul-e-ma.ani kahin khilta hoga
har gul-o-barg hai ik naqsh-e-qadam
kaun is raah se guzra hoga
lab-e-tasvir pe goya hai suḳhan
koi sun le to tamasha hoga
ab bhi gul-posh dariche ke qarib
tu kisi soch men Duuba hoga
aaj ki shaam bhi vo sarv-e-jamil
tere angan men lahakta hoga
tu ne jab haath chhuḌaya tha vo pal
tujh ko bhi yaad to aata hoga
dil ye kahta hai tujhi se miliye
main ye kahta huun ki phir kya hoga
dasht-e-furqat men khaḌa sochta huun
tu kahan anjuman-ara hoga
Leave a Reply