ba-zahir jo nazar aate ho tum masrur aisa kaise karte ho
batana to sahi virani-e-dil ka nazara kaise karte ho
tumhari ik ada to vaqa.i tarif ke qabil hai jan-e-man
main shashdar huun ki us ko pyaar itna be-tahasha kaise karte ho
suna hai log dariya band kar lete hain kuuze men hunar hai ye
magar tum munsifi se ye kaho qatre ko dajla kaise karte ho
hamari baat par vo kaan dharta hi nahin hai Taal jaata hai
tumhen kya kya nahin hasil kaho arz-e-tamanna kaise karte ho
ta.ajjub hai ta.alluq yaad rakhna aur phir aram se sona
agar us ko bhula paa.e nahin ab tak savera kaise karte ho
tumhari aah ka ye kaun sa andaz hai vazeh nahin hota
muamma ye nahin khulta ki tum dariya ko sahra kaise karte ho
Leave a Reply