• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Ham-Baghal Wo Sarw Qaba Posh Ho Gaya

Jab Ham-Baghal Wo Sarw Qaba Posh Ho Gaya

poet

jab ham-baghal vo sarv qaba posh ho gaya

qumri ka tauq halqa-e-aghosh ho gaya

ashar mere sun ke vo khamosh ho gaya

ghuncha ba-rang-e-gul hama-tan-gosh ho gaya

pi ghair ne sharab mujhe be-khudi hui

nashsha chadha kisi ko main behosh ho gaya

is darja be-khudi ne dikhain taalliyan

gardun ghubar-e-qafila-e-hosh ho gaya

tegh-e-ajal ki kaat se darta nahin huun main

zakhmon se jism-e-zar zira-posh ho gaya

ai but khayal-e-vasf-e-dahan men na paai raah

bhatka phira sukhan jo main khamosh ho gaya

khun-khvaron ke huzur na aaya hamari tarah

aina jauharon se zira-posh ho gaya

talea jagae aap ne arbab-e-ishq ke

yusuf ka husn khvab-e-faramosh ho gaya

pinhan hai zer-e-sabza-e-khat atish-e-ezar

shoala fusun-e-husn se khas-posh ho gaya

huren gale lipatti hain aa aa ke raat din

jannat ki raah kucha-e-aghosh ho gaya

us mast-e-husn ki nigah-e-garm ke huzur

aina-e-jam bada-e-sar-josh ho gaya

be-lutfiyon se tum jo mile main ne jaan di

phansi gale men halqa-e-aghosh ho gaya

abr-e-siyah ke saaye ne surma khila diya

sabza tamam tuti-e-khamosh ho gaya

kandhon se mere katib-e-amal gir pade

tadpa main is qadar ki subuk-dosh ho gaya

kanon ka husn jalva-e-ariz se pad gaya

rukh aftab-e-subh buna-gosh ho gaya

udta huun ishq men lab lalin ke ai ‘munir’

goya sharar atish-e-khamosh ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdussamad-tapish

Khauf-O-Wahshat Bar-Sar-e-Bazar Rakh Jata Hai Kaun

Lab Pe jhuTe Tarane Hote Hain

uTha Hi Lete Hain Diwar-O-Dar Saliqe Se

poet

ruKHsat-E-Yar Ka Mazmun Ba-Mushkil Bandha

Malbus-E-Ghubar Yaad Rakhna

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet