Jab Bhi Aaine Saf Hote Hain

jab bhī ā.īne saaf hote haiñ

kuchh na.e inkishāf hote haiñ

be-gunāhī hī jurm ho jin kā

log vo kab muaaf hote haiñ

raqs kartī hai bandagī vaa.iz

ham jo mahv-e-tavāf hote haiñ

saarī duniyā ḳhilāf lagtī hai

jab vo mere ḳhilāf hote haiñ

ab chhupāne kī bhī zarūrat kyā

ab to chehre ġhilāf hote haiñ

kuchh to nazreñ jhukāo ai ‘merāj’

yuuñ kahīñ e’tirāf hote haiñ

Leave a Comment