jaane us shaḳhs ko ye kaisa hunar aata hai
raat hoti hai to ankhon men utar aata hai
us ki chahat ka to andaz juda hai sab se
vo to ḳhushbu ki tarah ruuh men dar aata hai
baat karta hai to alfaz mahak uThte hain
jis tarah shaḳh-e-mohabbat pe samar aata hai
phuul us ke lab-o-ruḳhsar pe mar miTte hain
pyaar shabnam ko ba-andaz-e-digar aata hai
aisa titli sa vo nazuk hai ki chhu lene se
rang us ka mire hathon pe utar aata hai
tum to kanTon hi se ghabra ke palaT jaate ho
ishq to aag ke dariya se guzar aata hai
fasla saat samundar se ziyada hai ‘salim’
dil to milne ke tasavvur se hi bhar aata hai
Leave a Reply