surur-afza hui aḳhir sharab ahista ahista
hua vo bazm-e-mai men be-hijab ahista ahista
ruḳh-e-raushan se yuun uTThi naqab ahista ahista
ki jaise ho tulu-e-aftab ahista ahista
kiya jab shauq ne us se ḳhitab ahista ahista
haya ne bhi diya aḳhir javab ahista ahista
vo masti-ḳhez nazren rafta rafta le uḌiin mujh ko
kiya kashana-e-dil ko ḳharab ahista ahista
baḌha hangama-e-shauq is qadar bazm-e-harifan men
ki ruḳhsat ho gaya us ka hijab ahista ahista
kiya kamil hamen ik umr men soz-e-mohabbat ne
hue ham atish-e-gham se kabab ahista ahista
abas tha zabt ka da.ava sitam us ke sitam nikle
nigahen ho ga.iin aḳhir pur-ab ahista ahista
dabistan-e-vafa men umr bhar ki safha-gardani
samajh men aa.i ulfat ki kitab ahista ahista
ba-qadr-e-shauq use tab-e-tapidan thi kahan qatil
kiya bismil ne tere iztirab ahista ahista
bala hain shahidan-e-shahr ‘vahshat’ mai-parasti men
hua main un ki sohbat men ḳharab ahista ahista
Leave a Reply