Jaane Phir Uske Dil Mein Kya Baat Aa Gai Thi

jaane phir us ke dil meñ kyā baat aa ga.ī thī

mujh ko gale lagā kar vo ḳhud bhī ro paḌī thī

ham donoñ darmiyāñ se us raat haT chuke the

donoñ ke darmiyāñ bas ik paak raushnī thī

jazbāt ke samundar bechain ho rahe the

jab chāñd thā adhūrā jab raat sāñvlī thī

ik baat kahte kahte lab ḳhushk ho chale the

āñkhoñ se ek naddī chup-chāp bah chalī thī

āñkhoñ meñ ek chehra kuchh aise ghul rahā thā

kājal pighal pighal kar tasvīr ban ga.ī thī

sūraj nahīñ ugā thā par raat Dhal chukī thī

doshīzgī kā lamha ghūñghaT meñ vo kalī thī

Leave a Comment