
Mahmood Shaam
jaane ai dost kya hua ham ko
tera gham bhi na ab raha ham ko
ham na aa.en kahin ye mumkin hai
aap den to sahi sada ham ko
ḳhushk patte hain ham na jaane kab
le uḌe ba.uli hava ham ko
kab se hain ham to gosh-bar-avaz
kuchh to ai ḳhamushi suna ham ko
kis liye ḳhaar hon talash men ham
ḳhud hi DhunDega rasta ham ko
yunhi aa aa ke lipTe jaati hai
jaane kahti hai kya saba ham ko
ho ga.i duur saare din ki thakan
‘sham’ se vo sukun mila ham ko

Leave a Reply