janan hamare darmiyan kya kya nahin hua
baten nahin huiin thiin ya bosa nahin hua
janan ye yak-ba-yak se kahan ja rahi ho tum
ab tak hamara pyaar tamasha nahin hua
janan ye be-ruḳhi na mujhe maar Dalegi
halka sa iltifat ziyada nahin hua
janan tumhari photo mobile men hai magar
be-chainiyon ka us se izala nahin hua
janan fiance hai tumhara magar suno
mujh ko tumhara jaana gavara nahin hua
janan jo phuul tum ne rakha tha kitab men
ashkon se bhiig kar bhi vo taaza nahin hua
janan ḳhuda ke vaste ik baar bol do
‘kashif’ ke bin tumhara guzara nahin hua
Leave a Reply