jaan kar min-jumla-e-khasan-e-mai-khana mujhe
muddaton roya karenge jaam o paimana mujhe
nang-e-mai-khana tha main saaqi ne ye kya kar diya
piine vaale kah uthe ya pir-e-mai-khana mujhe
sabza o gul mauj o dariya anjum o khurshid o maah
ik taalluq sab se hai lekin raqibana mujhe
zindagi men aa gaya jab koi vaqt-e-imtihan
us ne dekha hai ‘jigar’ be-ikhtiyarana mujhe
Leave a Reply