be-chargi-e-hasrat-e-didar dekhna
mushkil na dekhna hai to dushvar dekhna
lamhat-e-intizar ki raftar dekhna
vo baar baar saya-e-divar dekhna
yuun dekhna ki TuuTe na rishta nigah ka
ik baar dekhne men vo sau baar dekhna
ya sub.h hi se shaam ka pur-kaif intizar
ya shaam hi se sub.h ke asar dekhna
kya dil-fareb hai tire ḳhvab-e-giran ka husn
tujh se nihan tire lab-o-ruḳhsar dekhna
dard-e-firaq ki sahar-e-avvalin ‘hafiz’
uThte hi janib-e-dar-o-divar dekhna
Leave a Reply