jaan de di rahrav-e-manzil ne manzil ke qarib
hausle tufan ke nikle bhi to sahil ke qarib
vo nazar bahki hui phirti hai kyuun dil ke qarib
us ki manzil bhi hai shayad meri manzil ke qarib
azm-e-gharqabi hai to minnat-kash-e-tufan na ban
kashtiyan lakhon hui hain gharq sahil ke qarib
rahrav-e-manzil ne ban kar markaz-e-yas-o-umid
manzilen lakhon bana liin apni manzil ke qarib
Dubne vaale ko tinke ka sahara chahiye
mauj bhi sahil nazar aati hai sahil ke qarib
jaan de kar mutma.in hai rahrav-e-himmat-shikan
duri-e-manzil ne pahunchaya hai manzil ke qarib
didani hai us ki hasrat us ka arman us ka shauq
jis ki kashti Duub jaa.e aa ke sahil ke qarib
Dagmaga jaate hain pa-e-shauq akasr ai ‘ra.is’
manzilen aisi bhi aa jaati hain manzil ke qarib
Leave a Reply