gulshan men kabhi ham sunte the vo kya tha zamana phulon ka
kaliyon se kahani kaliyon ki phulon se fasana phulon ka
kya mausam-e-gul par itra kar ham gaa.en tarana phulon ka
do roz men aane vaala hai ik roz zamana phulon ka
ayyam-e-ḳhizan men ahl-e-chaman sarsar ko sitam se kya roken
begana hua jab sabza bhi to kaun yagana phulon ka
phir bad-e-saba vo aa pahunchi phir rang khila nik.hat phaili
ai luTne vaalo ab luuTo ma.amur ḳhazana phulon ka
nazan hai jo apni qismat par gulchin ko ye kya ma.alum nahin
ja.egi bahar aa.egi ḳhizan badlega zamana phulon ka
gulchin se kabhi main sunta huun bulbul se kabhi main kahta huun
is dard-sari ka baa.is hai dilchasp fasana phulon ka
shaḳhen bhi bala.en leti hain patte bhi nichhavar hote hain
allah re javani gulshan ki uf uf re zamana phulon ka
ayyam-e-ḳhizan men ai bulbul taklif bahut baḌh ja.egi
phulon ki qasam deta huun tujhe chheḌ ab na tarana phulon ka
jab ahl-e-chaman so jaate hain to husn ke Daaku aate hain
kuchh raat ga.e kuchh raat rahe luTta hai ḳhazana phulon ka
murghan-e-qafas ko niind kahan niind aa.e yahi ummid kahan
gulchin se unhen sunvata hai sayyad fasana phulon ka
kya zikr-e-chaman kya fikr-e-chaman kya zauq-e-chaman kya shauq-e-chaman
daghon se hamara ḳhana-e-dil hai daulat-ḳhana phulon ka
kya ḳhuub mili gul khane ki ye daad hamen mar jaane par
phulon men hamare chheḌ diya bulbul ne tarana phulon ka
fitrat ke musafir ko bas men rakh sakte nahin ashjar-e-chaman
aata hai zamana phulon ka jaata hai zamana phulon ka
ai ‘nuh’ asar itna to kiya tum par bhi chaman ke manzar ne
tufan uThana bhuul ga.e le baiThe fasana phulon ka
Leave a Reply