ehsas ki ragon men utarne laga hai vo
ab buund buund mujh men bikharne laga hai vo
gumnamiyon ki andhi gupha.en hon nauha-ḳhvan
manind-e-aftab ubharne laga hai vo
kaise kahun ki gham hua ḳhvabon ki bhiiḌ men
zaḳhmon ka indimal to karne laga hai vo
ik harf-e-atishin bhi nahin us ke honT par
lagta hai lahza lahza ThiThurne laga hai vo
imkan ki hadon se guzarne ke ba.ad kyuun
ab reza reza ho ke bikharne laga hai vo
utra tha meri ruuh ke rauzan se jo kabhi
ghuT ghuT ke mere jism men marne laga hai vo
Leave a Reply