ja kahe ku-e-yar men koi
mar gaya intizar men koi
chhod sau kaam aa pahunch saaqi
jan-ba-lab hai khumar men koi
vo bhi kya raat thi ki sota tha
sar rakhe us kanar men koi
mat guzar khaak par shahidon ki
chain le tuk mazar men koi
kyuun ‘bayan’ sair-e-bagh ki rukhsat
nahin deta bahar men koi
Leave a Reply