• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Izhaar

Izhaar

ahmad-nadeem-qasmi

tujhe izhar-e-mohabbat se agar nafrat hai

tu ne honton ko larazne se to roka hota

be-niyazi se magar kanpti avaz ke saath

tu ne ghabra ke mira naam na puchha hota

tere bas men thi agar mashal-e-jazbat ki lau

tere rukhsar men gulzar na bhadka hota

yuun to mujh se huiin sirf ab-o-hava ki baten

apne tuute hue fiqron ko to parkha hota

yunhi be-vajh thitakne ki zarurat kya thi

dam-e-rukhsat main agar yaad na aaya hota

tera ghammaz bana khud tira andaz-e-khiram

dil na sambhla tha to qadmon ko sambhala hota

apne badle miri tasvir nazar aa jaati

tu ne us vaqt agar aaina dekha hota

hausla tujh ko na tha mujh se juda hone ka

varna kajal tiri ankhon men na phaila hota

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hone Ka Etibar Nahin Kar Rahe Hain Log

shanaKHt miT Gai Chehre Pe Gard Itni Thi

poet

Arz-E-Ahwal-E-Dil-E-Zar Karun Ya Na Karun

poet

Aashiq Ka Jahan Mein Ghar Na Dekha

Jab Aaftab Ghar Pe Bulaya Tha Sham Ne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet