iz.har-e-aqidat men kahan tak nikal aa.e
ham ahl-e-yaqin vahm-o-guman tak nikal aa.e
shadab baharon ke tamanna.i kahan hain
mausam ke qadam zaḳhm-e-ḳhizan tak nikal aa.e
ye kaisa alam hai ki gareban ho salamat
aur ankhon se ḳhuun bhi rag-e-jan tak nikal aa.e
kab niklegi divanon ki barat gharon se
sinon men baghavat ke nishan tak nikal aa.e
maqtal men bahattar bhi nahin nikle hain ab ke
dargahon men sab pir-o-javan tak nikal aa.e
ab to na karo rah-numaon ki shikayat
aḳhbaron men ab un ke bayan tak nikal aa.e
ab kaun sar-e-dar nazar aa.ega ‘farigh’
jab ahl-e-junun sud-o-ziyan tak nikal aa.e
Leave a Reply