itni si aankh ne gham kitna uTha liya hai
kashti ne apne andar dariya uTha liya hai
us ni-vasl se ye tark-e-ta.alluq achchha
chandi ko rakh ke main ne sona uTha liya hai
ik to pagar jaise bachchon ki jeb-ḳharchi
uupar se doston ka ḳharcha uTha liya hai
ḳhushbu ke ashiqon ko taz.in-e-bagh se kya
jo phuul bhi zara sa mahka uTha liya hai
chubh jaa.e soi bhi to bhagen mujhe dikhane
jaise ki main ne sab ka Theka uTha liya hai
naani ne tark kar di kyuun rasm-e-qissa-goi
kya chand se kisi ne charḳha uTha liya hai
Leave a Reply