itni fursat nahin us paikar-e-pindar ke paas
ban ke aa.e vo masiha kisi bimar ke paas
gar yunhi vahshaten raqsan rahin dalanon men
koi saaya na rahega kisi divar ke paas
roz ankhon ko naya tarz-e-suḳhan milta hai
roz jaata huun kisi yar-e-tarah-dar ke paas
fasl-e-gham dekh ke nam-dida hua charḳh-e-falak
shayad ankhen hi nahin a.ina-bardar ke paas
meri divangi ḳhvabon se baghal-gir hui
dasht abad kiya jab kisi gulzar ke paas
rang-o-nik.hat ke ḳhazane bhi zamin-bos hue
chal ke ḳhud aane lagi ḳhushbu ḳharidar ke paas
ai ‘ḳhayal’ apne iradon ko tavana rakkho
muflisi aati nahin hai kisi fankar ke paas
Leave a Reply