itna bhi ai ḳhuda mujhe mash.hur tu na kar
main bhuul ja.un tujh ko bhi maghrur tu na kar
main tujh se duriyon ki talabgar huun magar
ye iltija bhi hai ki mujhe duur tu na kar
vo raushni hi kya jo basarat ko chhin le
ankhon ko ai ḳhuda miri be-nur tu na kar
duniya ke samne kabhi phaila.un apne haath
parvardigar itna bhi majbur tu na kar
talib rahun main ilm ki ta-umr ta-hayat
dil men ye jo talab hai use duur tu na kar
Leave a Reply