islah-e-ahl-e-hosh ka yaara nahin hamen
is qaum par ḳhuda ne utara nahin hamen
DhunDen kahan sahar ko tumhen ai ghazal-e-shab
ab naam bhi to yaad tumhara nahin hamen
ab kya sanvar sakenge ham avargan-e-ishq
sadiyon ke jabr ne to sanvara nahin hamen
hathon men hai hamare gareban-e-ka.enat
lekin abhi junun ka ishara nahin hamen
DhunDo koi na.i ravish-e-sha.iri ‘zafar’
uslub dusron ka gavara nahin hamen
Leave a Reply