isi chaman men mira nazm-e-ashiyan badla
yahi zamin hai jahan mujh pe asman badla
nizam-e-barq-o-nasheman se har saman badla
magar ye dekh kabhi rang-e-baghban badla
kahin chaman pe na TuuTe koi bala sayyad
ye inqalab mubarak ki ashiyan badla
ḳhuda kare ki ḳhilaf-e-vafa na ho anjam
mujhe ḳhabar hai jis ummid par jahan badla
tiri nazar ke ishare hi kuchh kahen to kahen
mujhe to hosh nahin main kahan kahan badla
Leave a Reply