ishq se dil ko uuba dekha
jism ka jab se sauda dekha
bhuka ham ne raaja dekha
sagar ko bhi pyasa dekha
duniya dekhi kab bachchon ne
c c plus plus jaava dekha
ummiden maan baap ki dekhin
bachchon ka jab basta dekha
shahi path ka lalach mat kar
sachcha rasta kachcha dekha
badal ke dekha ham ne phir bhi
raaja lekin bahra dekha
tu pyara hai kyuun ki main ne
tujh men apna saaya dekha
baat agar chubh jaae ‘atish’
vaar us ka phir gahra dekha
Leave a Reply