ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin
husn majbur-e-intizar nahin
teri ranjish ki intiha maalum
hasraton ka miri shumar nahin
apni nazren bikher de saaqi
mai ba-andaza-e-khumar nahin
zer-e-lab hai abhi tabassum-e-dost
muntashir jalva-e-bahar nahin
apni takmil kar raha huun main
varna tujh se to mujh ko pyaar nahin
chara-e-intizar kaun kare
teri nafrat bhi ustuvar nahin
‘faiz’ zinda rahen vo hain to sahi
kya hua gar vafa-shiar nahin
Leave a Reply