Mere Hathon Mein Kuchh Gulab to Hain

mere hāthoñ meñ kuchh gulāb to haiñ

jo na mumkin rahe vo ḳhvāb to haiñ

rang bikhre haiñ chār-sū mere

reg-zāroñ meñ kuchh sarāb to haiñ

terī chāhat kī aarzū na sahī

ham tire sāya-e-itāb to haiñ

lafz Dhalne lage haiñ ma.anī meñ

zindagī se mile javāb to haiñ

raushnī sī rahī daraḳhtoñ par

jangaloñ par rahe shabāb to haiñ

raat ke manzar-e-ḳhamoshī meñ

chhiḌ ga.e naġhma-e-rabāb to haiñ

is zamāne kī kyā haqīqat hai

sāhil-e-vaqt par habāb to haiñ

Leave a Comment