• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Tarah Yaad Aane Se Kya Faeda

Is Tarah Yaad Aane Se Kya Faeda

is tarah yaad aane se kya fa.eda

muft ehsan jatane se kya fa.eda

jis jagah dil hi jhukta nahin aap ka

us jagah sar jhukane se kya fa.eda

ḳhatm kuchh dam men ho ja.egi raushni

sham.a ki lau baḌhane se kya fa.eda

apne dushman se vaqif to hain ham magar

naam us ka batane se kya fa.eda

khul ke hansiye tabahi pe meri huzur

zer-e-lab muskurane se kya fa.eda

apne dil se main karta huun aksar saval

un ki mahfil men jaane se kya fa.eda

aur ubhrenge naqsh-e-qadam aap ke

meri turbat miTane se kya fa.eda

nichi nazren uThate to ik baat thi

jaam aage baḌhane se kya fa.eda

jin ko aata tha vo to na aa.e ‘sa.id’

mausam-e-gul ke aane se kya fa.eda

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Raaton Ko Jagne Ki Saza Ban Ke Rah Gaya

Wo Bahte Dariya Ki Be-Karani Se Dar Raha Tha

Aasan to Na Tha Dhup Mein Sahra Ka Safar Kuchh

Phir Taqaza Hai Ki Tajdid-E-Wafa Ho Jae

poet

Aaina Hai Ye Jahan isMein Jamal Apna Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet