Is Shash-Jihat Mein Khub Teri Justuju Karen

is shash-jihat men khuub tiri justuju karen

kaabe men chal ke sajda tujhe char-su karen

ashiq jo husn-e-pak men kuchh guftugu karen

daman ka pichhe naam len pahle vazu karen

sharminda huun zamin men gaden surkh-ru karen

ustadgi jo sarv tire ru-ba-ru karen

paida karen jo tujh ko unhin ko hai dastaras

pamard hain vahi jo tiri justuju karen

le ja chuki chaman men saba bu-e-zulf-e-yar

sumbul ke silsile ko bhi barham vo mu karen

afsana-goi afi-e-gesu-e-yar men

khamosh hon charagh jo ham guftugu karen

divangi ka silsila jaave na haath se

daman ko phadiye jo gareban rafu karen

ai badshah-e-husn faqiron ki tarah se

ashiq dua-e-khair tujhe ku-ba-ku karen

didar-e-am kijiye parda uthaiye

ta-chand banda-ha-e-khuda aarzu karen

masti men mujh se be-adabi hogi yaar se

mujh ko gunah-gar na jam-o-subu karen

divan-e-husn men se hui hai ye intikhab

ashiq-mizaj sair-e-bayaz-e-gulu karen

vird-e-zaban hai roz-o-shab in ki sana-e-husn

shayan hai jis qadar ki ye shaer ghulu karen

likh dete hain hasinon ko ham khatt-e-bandgi

mashq-e-sitam ko tark jo ye tund-khu karen

hairan-kar huun tire rukhsar-e-saf ka

sakta ho aaina jo tire ru-ba-ru karen

murgh-e-chaman hon zamzama-paira bahar aai

hangama garm shefta-e-rang-o-bu karen

tasir-dar log hain allah ke faqir

sang-e-sanam hon aab jo ham zikr-e-hu karen

maujud go ki tu hai magar chahta hai shauq

avara hon talash tiri chaar su karen

‘atish’ ye vo zamin hai ki jis men ba-qaul-e-‘dard’

dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen

Leave a Comment