is qadar tha ye gareban mira chaak miyan
qais bhi dekh ke kahta tha ḳhatarnak miyan
surḳh ankhen na phaTi aap ki poshak miyan
hijr kaaTa hai bhala aap ne kya ḳhaak miyan
javedan ishq ho apna ye dua mangi thi
phir hua ishq ka anjam alamnak miyan
phenk aaya huun main ik rail ki paTri pe badan
ghar men rakhta bhala kab tak ḳhas-o-ḳhashak miyan
umr bhar mujh ko kisi ek ka hone na diya
mujh se baḌh kar to mira dil hi tha chalak miyan
Leave a Reply