turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya
andher gesu-e-siyah-e-yar ne kiya
gul se jo samna tire ruḳhsar ne kiya
mizhgan ne vo kiya ki jo kuchh ḳhaar ne kiya
naz-o-ada ko tark mire yaar ne kiya
ghamza naya ye turk sitamgar ne kiya
afshan se kushta abru-e-ḳhamdar ne kiya
jauhar se kaam yaar ki talvar ne kiya
qamat tiri dalil qayamat ki ho ga.i
kaam aftab-e-hashr ka ruḳhsar ne kiya
meri nigah ke rashk se rauzan ko chandi
raḳhna ye qasr-e-yar ki divar ne kiya
sauda-e-zulf men mujhe aaya ḳhayal-e-ruḳh
mushtaq raushni ka shab-e-tar ne kiya
hasrat hi bosa-e-lab-e-shirin ki rah ga.i
miTha na munh ko tere namak-ḳhvar ne kiya
fursat mili na girya se ik lahza ishq men
paani mire lahu ko is azar ne kiya
simab ki tarah se shagufta hua mizaj
iksir mujh ko mere ḳharidar ne kiya
qad men to kar chuka tha vo ahmaq barabari
majbur sarv ko tiri raftar ne kiya
hairat se pa-ba-gil hue rauzan ko dekh kar
divar ham ko yaar ki divar ne kiya
patthar ke aage sajda kya tu ne barhaman
kafir tujhe tire but-e-pindar ne kiya
kavish mizha ne ki ruḳh-e-dilbar ki diid men
pa-e-nigah se bhi ḳhalish ḳhaar ne kiya
ashiq ki tarah main jo laga karne bandagi
azad daagh de ke ḳharidar ne kiya
e.ajaz ka ojab lab-e-jan-baḳhsh se nahin
paighambar us ko mus.haf-e-ruḳhsar ne kiya
turra ki tarah se dil-e-ashiq ko pech men
kis kis lapeT se tiri dastar ne kiya
ankhon ko band kar ke tasavvur men baagh ke
gulshan qafas ko murgh-e-giraftar ne kiya
nalan hua main us ruḳh-e-rangin ko dekh kar
bulbul mujhe nazara-e-gulzar ne kiya
hakla ke mujh se baat jo us dil-ruba ne ki
kis husn se ada use takrar ne kiya
ulTa udhar naqab to parde paḌe idhar
ankhon ko band jalva-e-didar ne kiya
lazzat ko tark kar to ho duniya ka ranj duur
parhez bhi dava hai jo bimar ne kiya
na-saf a.ina ho to bad-tar hai sang se
raushan ye haal ham ko jalakar ne kiya
halqa ki naf-e-yar ke tarif kya karun
gol aisa da.era nahin parkar ne kiya
divan-e-husn-e-yar ki ‘atish’ jo sair ki
divana bait abru-e-ḳhamdar ne kiya
Leave a Reply