kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga
main to dariya huun samundar men utar jaunga
tera dar chhod ke main aur kidhar jaunga
ghar men ghir jaunga sahra men bikhar jaunga
tere pahlu se jo utthunga to mushkil ye hai
sirf ik shakhs ko paunga jidhar jaunga
ab tire shahr men aunga musafir ki tarah
saya-e-abr ki manind guzar jaunga
tera paiman-e-vafa raah ki divar bana
varna socha tha ki jab chahunga mar jaunga
charasazon se alag hai mira meaar ki main
zakhm khaunga to kuchh aur sanvar jaunga
ab to khurshid ko guzre hue sadiyan guzrin
ab use dhundne main ta-ba-sahar jaunga
zindagi shama ki manind jalata huun ‘nadim’
bujh to jaunga magar subh to kar jaunga
Leave a Reply