Is Qadar Bhi Dukhi Nahin the Hum

is qadar bhī dukhī nahīñ the ham

jaise ab haiñ kabhī nahīñ the ham

dūsrā us ko mil gayā koī

āḳhirī aadmī nahīñ the ham

har zarūrat kī ek qīmat thī

aur itne dhanī nahīñ the ham

kaise chāhat kisī ko de dete

yaar itne saḳhī nahīñ the ham

kaise dāman bachāte duniyā se

aadmī muttaqī nahīñ the ham

jo tasavvur thā us ke ḳhvāboñ meñ

hū-ba-hū kyā vahī nahīñ the ham

ab to ‘mashkūr’ aisā lagtā hai

tere dil meñ kabhī nahīñ the ham

Leave a Comment